Ya iLahi Reham Farma Mustafa Ke Waste, Kalame Aala Hazrat

 

Yaa Ilaahi Rahem Farmaa Mustafa Ke Waaste
Yaa Rasool Allah Karam Kijiye Khuda Ke Waaste
Mushkilen Hal Kar Shah E Mushkil Kusha Ke Waaste
Kar Balaayen E Rad Shaheed E Karbala Ke Waaste
Sayyid E Sajjaad Key Sadqe Me Saajid Rakh Mujhe
‘Ilm E Haq Deh Baaqir E ‘Ilm E Huda Ke Waaste
Sidq E Saadiq Ka Tasadduq Saadiq Ul Islam Kar
Be Ghazab Raazi Hoh Kaazim Aur Raza Ke Waaste
Bahr E Ma’roof O Sirri Ma’roof De Be’khud Sirri
Jund E Haq Me Gin Junaid E Baa Safa Ke Waaste
Behre Shibli Sher E Haq Duniya Key Kutto Sey Bacha
Ek Ka Rakh Abd E Waahid Be Riya Ke Waaste
Bui Farah Ka Sadqa Kar Ghum Ko Farah De Husn O Sa’ad
Bui Hassan Aur Bu Saeed E Sa’ad E Zaa Ke Waaste
Qaadiri Kar Qaadiri Rakh Qaadiriyon Me Ut’ha
Qadr E Abdul Qaadire Qudrat Numa Ke Waaste
Ahsan’al Laahu Lahum Rizqan Sey De Rizq E Hassan
Banda E Razzaaq Taajul Asfiya Ke Waaste
Nasr Abi Saaleh Ka Sadqa Saaleh O Mansoor Rakh
De Hayaat E Deen Muhiy’ye Jaan Fizaa Ke Waaste
Toor E Irfaan O Uloo O Hamd O Husna O Bahaa
De Ali Moosa Hassan Ahmed Bahaa Ke Waaste
Bahr E Ibraheem Mujh Par Naar E Ghum Gulzaar Kar
Bheek De Aata Bhikhaari Badsha Ke Waaste
Khanaa E Dil Ko Ziyaa De Roo E Imaan Ko Jamaal
Sheh Ziyaa Maula Jamaal Ul Awliya Ke Waaste
De Muhammad Key Liye Rozi Kar Ahmad Keh Liye
Khaan E Fazlullah Sey Hissa Gadaa Ke Waaste
Deeno Duniya Ki Mujhe Barkaat De Barkaat Sey
Ishq E Haq De Ishqi E Ishq Intima Ke Waaste
Hubbe Ahle Bait De Aale Muhammad Key Liye
Kar Shaheed E Ishq E Hamza Peshwaa Ke Waaste
Dil Ko Aach’cha Tann Ko Suthra Jaan Ko Pur Noor Kar
Ache Pyaare Shamsud’deen Badr Ul Ula Ke Waaste
Do Jahaan Me Khaadim E Aale Rasool’Allah Kar
Hazrat E Aal E Rasool E Muqtadaa Ke Waaste
Sadqa In A’yaan Ka De Che ‘Ain Iz Ilm O Amal
‘Afw O ‘Irfaan ‘Aafiyat Ahmed Raza Ke Waaste
Noor E Jaan O Noor E Eeman Noor E Qabr O Hashr De
Bul Hussain E Ahmed E Noori Liqa Ke Waaste
Kar Ataa Ahmed Raza E Ahmed E Mursal Humain
Mere Maula Hazrat E Ahmed Raza Ke Waaste
Hamid E Mehmood Aur Hammad E Ahmed Kar Humain
Mere Maula Sayyidi Hamid Raza Ke Waaste
Ya Ilahi Ghous E Azam Ke Ghulamon Me Qubool
Hum Shabeeh E Ghous E Azam Mustafa Ke Waaste
Mere Maula Deen E Haq Per Istiqaamat Kar Ataa
Mufti E Azam Janab E Mustafa Ke Waaste
Saaya E Jumla Mashaikh Ya Khuda Hum Per Rahe
Rehm Farma Aal E Rehmaan Mustafa Ke Waaste
Gumbad E Khazra Ki Thandi Thandi Chaon Main Basa
Nayib E Ghous O Raza Maula Ziya Ke Waaste
Bargaah E Mustafa Main Hazri Dayim Rahey
Fazlur Rehman Qadri Ibn E Ziya Ke Waaste
Zaahir O Batin Ki Kar Islaah De Fouz O Falah
Muslehuddin Khadim E Deen E Huda Ke Waaste
Haq Numa O Haq Nigar Haq Bi Turab Ul Haq Rahey
Bu Turab E Haq Numa Shair E Khuda Ke Waaste
Behr E Ibrahim Bhi Lutf O Ataa E Khaas Ho
Noor Ki Sarkar Se Hissa Gada Ke Waaste
Ya Khuda Akhtar Raza Ko Charkh Per Islam Ke
Rakh Darakhshaan Har Ghari Apni Raza Ke Waaste
Ya Khuda Akhtar Raza Ko Gulshan E Islam Main
Rakh Shugufta Har Ghari Apne Raza Ke Waaste

 

           

I am the Founder of This Blog, Belongs from Bareilly Uttar Pradesh, Content Writer, Blogger, Youtuber, Also Running Csc Center (Cyber Cafe).

         

Leave a Comment