Jo Dil Me Ulfat e Jaan e Masiha Le Ke Baithe Hain | Asad Iqbal Naat Lyrics,

Jo Dil Me Ulfat-e-jaan-e Maseeha Le Ke Baithe Hain,
Wahi Dar-asl Bakhshish Ka Sahara Le Ke Baithe Hain.

 

Jahan Pe Raat Din Anwaar Ki Barsaat Hoti Hai,
Wahan Ham Bhi Nahane Ka Irada Le Ke Baithe Hain.

Raza Se Jalne Walo Ka Ajab Hi Haal Dekha Hai,
Raza Ke Naam Ka Hatho Me Luqma Le Ke Baithe Hain.

Bahane Ke Liye Kohe Gunah Maidan-e-mehshar Me,
Shafi Ul Muznabi Rehmat Ka Dhara Le Ke Baithe Hain.

Mehakti Hi Rahi Unki Kayi Nasle Kayi Fasle,
Jo Sarkar E Madina Ka Paseena Le Ke Baithe Hain,

Jo Bedam Ki Tamanna Thi Wohi Apni Tamanna Hai,
Qayamat Me Ham Ummeede Tamasha Le Ke Baithe Hain.

Ghataye Azmat E Siddiq-e- Akbar Or Umar Ki Jo,
Ali Uske Liye Hatho Me Koda Le Ke Baithe Hain.

Sahaba Se Hai Nafrat Or Ali Se Dawa-e-ulfat,
Umar Ko Chhod Kar Hazrat Ali ko Paa Nahi Sakte,
Ajab Hain Sheen Jo Ghatiya Aqeeda Le Ke Baithe Hain.

Ise Bhi Bhar Do Ya Khwaja Bhara Tha Jis Tarah Pehle,
Deewane Apki Chaukhat Pe Kaansa Le Ke Baithe Hain.

Na Fasna Sunniyon Hargiz Kabhi Bhi Jaal Me Unke,
Ke Kuchh Ajmer Ke Khuddam Fanda Le Ke Baithe Hain.

Kisi Me Dam Nahi Hai Maat De Kar Wo Nikal Jaaye,
Imam Ahmad Raza Rab Par Hawala Le Ke Baithe.

Agar Dam Hai To Sulhe Kulli Aaja Khul Ke Maidan Me,
Yahan Ham Khanzare Tajushshariya Le Ke Baithe Hain.

Suno Tajushshariya Wale Marne Se Nahi Darte,
Ladane Maut Se Ham Log Panja Le Ke Baithe Hain.

Wahi Kehlayenge Ahmad Raza Wale Haqiqat Me,
Mission Jo Maslake Ahmad Raza Ka Le Ke Baithe Hain.

Daraye Thook Se Kodhi Musalman Ko Mitha Denge,
Kaleji Chhod De Ham To Kaleja Le Ke Baithe Hain.

Sikhao Mat Hame Saadat Ki Izzat Karen Kaise,
Raza Wale Hain Ham Saara Saleeka Le Ke Baithe Hain.

Wahabi Deobandi Ho Ke Ho Wo Dugdugi Wala,
Ye Razvi Qadri Har Ek Se Panga Le Ke Baithe Hain.

Jo Geedarh Fabtiya Dete Hain Unse Ja Ke Ye Keh Do,
Sage Gausul Wara Shero’n Se Panga Le Ke Baithe Hain.

Jo Hain Ahmad Raza Khan Ke Madaare Paak Unke Hain,
Wo Hain Khush Waqt Jo Dono Ka Sadqa Le Ke Baithe Hain.

Idhar Makhdoom Wale Or Udhar Ahmad Raza Wale,
Bareilly Ankh Me Dil Me Kichhaucha Le Ke Baithe Hain.

Yaqinan Bait-e-aqdas Par Alam Lehrayega Apna,
Salahuddin Sa Ham Log Jazba Le Ke Baithe Hain.

Huqumat To Badal Denge Shariyat Ko Na Badlenge,
Suno Ham Muftiye Aazam Ka Fatwa Le Ke Baithe Hain.

Kahan Hai Daag-e-nazzara Rukhe Salle Ala Dekhen,
Magar Ashiq Ziyarat Ki Tamanna Le Ke Baithe Hain.

Wo Aisi Koun Si Shaye Hai Jo Qabze Me Nahi Unke,
Har Ek Ne’amat Madeene Wale Aaqa Le Ke Baithe Hain.

Imam Ahmad Raza Ne Kab Ka Usko Dafn Kar Daala,
Wahabi Ab Bhi Arwaahe Salasa Le Ke Baithe Hain

Ali Se ILM Maango Deen Maango Aakhirat Maango,
Magar Ham to Yahan Bas Fikre Jubba Le Ke Baithe Hain.

Banaya Khaliq-E-Jannat ne Unko Malike Jannat,
Mere Sarkar to Jannat Ka Visa Le ke Baithe Hain.

Na Kyun Ankhe Munawwar Ho Na Kyun Seena Mujalla Ho,
Lo-aa-be Paak Aankho Me Kataada Le Ke Baithe Hain.

Gazal Bhi Ba Adab Hokar Khinchi Aayi Hai Mehfil Me,
Nabi Ki Naat Ka Ham Lab Pe Nagma Leke Baithe Hain.

Chadhayi Hai Mazaaro Par Jo Chadar Aala Hazrat Ne,
Usi Chadar Ka Sadka Tere Abba Le ke Baithe Hain.

Jahan ke Jaali Peero Se Hamara Wasta Kaisa,
Ke Ham To Naame Akhtar Ka Wazeefa Le ke Baithe Hain.

Ye Paigham E Masauli Hai Pakad Lo Daman-e-Asjad,
To Samjho Ham Bhi Kohenoor Heera Le ke Baithe Hain.

Jo Hain Haqdaar Mansab Ke Unhe Mansab Diya Jaaye,
Magar Ham Log To Bhai Bhateeja Le ke Baithe Hain.

Zamana Chhod Denge Aala Hazrat ko Na Chhodenge,
Aqeedi Aaj Ye Dil Me Irada Le Ke Baithe Hain.

Jo Jaali Peer Kehta Hai Mere Akhtar Ko Aye Logo,
Ham Uske Waste Pairo’n Me Joota Le Ke Baithe Hain,

Falaq Ke Chand or Taare Sabhi Jannat Ke Nazzare,
Nabi Ke Jism-e-at-har Ka Gusala Le Ke Baithe Hain.

Wo Apne Baap Dada Ko Kaho Kya Muh Dikhayenge,
Jo Markaz Ko Badalne Ka Irada Le Ke Baithe Hain.

Unhe Keede Padenge Qabr Me aur Hashr Me Kode,
Raza Se Bugz Ka Dil Me Jo Keeda Le Ke Baithe Hain.

Raza Walon Se Mat Uljho Nahi Hai Tumko Andaza
Raza Wale Dhamake Par Dhamaka Le Ke Baithe Hain.

Ye Jalse Isliye Hain Qaum Ki Islaah Maqsad Hai,
Magar Vaaiz Khitabat Me Lateefa Le Ke Baithe Hain.

Hamara Daur Jab Aayega Ham Taameer Kar Lenge,
Ke Ham to Babri Masjid Ka Naksha Le Ke Baithe Hain.

Hussain E Paak Ki Qurbaniyon Se Unko Kya Matlab,
Moharram Wale Din Jo Dhol-Taasha Leke Baithe Hain

Bahut Saare Hain Lehje Padhne Ke Khatir Zamane Me,
Magar Hasid Asad Iqbal Lehja Le ke Baithe Hain.

Nabi Ki Naat Padhiye Dushmanane Deen Ka Radd Kijiye,
Asad Kyu Aap Duniya Ka Jhamela Le Ke Baithe Hain.


जो दिल में उल्फत-ए-जान-ए मसीहा ले के बैठे हैं,
वही दर-असल बख्शिश का सहारा ले के बैठे हैं ।

जहां पे रात दिन अनवार की बरसात होती है,
वहां हम भी नहाने का इरादा ले के बैठे हैं ।

रज़ा से जलने वालों का अजब ही हाल देखा है,
रज़ा के नाम का हाथो में लुकमा ले के बैठे हैं ।

बहाने के लिए कोहे गुनाह मैदान-ए-महशर में,
शफी उल मुजनबी रहमत का धारा ले के बैठे हैं ।

महकती ही रही उनकी कई नसले कई फसले,
जो सरकार ए मदीना का पसीना ले के बैठे हैं ।

जो बेदम की तमन्ना थी वही अपनी तमन्ना है,
कयामत में हम उम्मीदे तमाशा ले के बैठे हैं ।

घटाए अज़मत ए सिद्दीक-ए- अकबर या उमर की जो,
अली उसके लिए हाथो में कोड़ा ले के बैठे हैं ।

सहाबा से है नफरत या अली से दावा-ए-उल्फत,
उमर को छोड़ कर हज़रत अली को पा नहीं सकते,
अजब हैं शीन जो घटिया अकीदा ले के बैठे हैं ।

इसे भी भर दो या ख्वाजा भरा था जिस तरह पहले,
दीवाने आपकी चौखट पे कांसा ले के बैठे हैं ।

ना फंसना सुन्नियों हरगिज कभी भी जाल में उनके,
के कुछ अजमेर के खुद्दाम फंदा ले के बैठे हैं ।

किसी में दम नहीं है मात दे कर वो निकल जाए,
इमाम अहमद रज़ा रब पर हवाला ले के बैठे।

अगर दम है तो सुल्हे कुल्ली आजा खुल के मैदान में,
यहां हम खंजरे ताजुशशरिया ले के बैठे हैं ।

सुनो ताजुश्शरिया वाले मरने से नहीं डरते,
लड़ाने मौत से हम लोग पंजा ले के बैठे हैं ।

वही कहलाएंगे अहमद रज़ा वाले हकीकत में,
मिशन जो मसलके अहमद रजा का ले के बैठे हैं ।

डराए थूक से कोढ़ी मुसलमान को मिटा देंगे,
कलेजी छोड़ दे हम तो कलेजा ले के बैठे हैं ।

सिखाओ मत हमें सादात की इज्ज़त करें कैसे,
रज़ा वाले हैं हम सारा सलीका ले के बैठे हैं ।

वहाबी देवबंदी हो के हो वो डुगडुगी वाला,
ये रज़वी कादरी हर इक से पंगा ले के बैठे हैं ।

जो गीदड़ फबतिया देते हैं उनसे जा के ये कह दो,
सगे गौसुल वरा शेरों से पंगा ले के बैठे हैं ।

जो हैं अहमद रज़ा खान के मदारे पाक उनके हैं,
वो हैं खुश वक्त जो दोनो का सदका ले के बैठे हैं ।

इधर मख़दूम वाले या उधर अहमद रज़ा वाले,
बरेली आंख में दिल में किछौचा ले के बैठे हैं ।

यकीनन बैत-ए-अकदस पर अलम लहरायगा अपना,
सलाहुद्दीन सा हम लोग जज़्बा ले के बैठे हैं ।

हुकुमत तो बदल देंगे शरियत को ना बदलेंगे,
सुनो हम मुफ्ती ए आजम का फतवा ले के बैठे हैं ।

कहां है दाग-ए-नज़्जारा रुखे सल्ले अला देखें
मगर आशिक जियारत की तमन्ना ले के बैठे हैं ।

अली से इल्म मांगो दींन मांगों आख़िरत मांगों,
मगर हम तो यहाँ बस फिक्रे जुब्बा ले के बैठे हैं ।

वो ऐसी कौन सी शय है जो कब्ज़े में नहीं उनके,
हर इक नेअमत मदीने वाले आक़ा ले के बैठे हैं ।

इमाम अहमद रज़ा ने कब का उसको दफ्न कर डाला,
वहाबी अब भी अरवाहे सलासा ले के बैठे हैं ।

बनाया खालिके जन्नत ने उनको मालिके जन्नत,
मेरे सरकार तो जन्नत का वीज़ा ले के बैठे हैं ।

न क्यों आंखे मुनव्वर हो न क्यों सीना मुजल्ला हो,
लोआबे पाक आँखों में क़तादा ले के बैठे हैं ।

ग़ज़ल भी बा अदब होकर खींची आयी है महफ़िल में,
नबी की नात का हम लब पे नगमा ले के बैठे हैं ।

चढ़ाई है मज़ारों पर जो चादर आला हज़रत ने,
उसी चादर का सदका तेरे अब्बा ले के बैठे हैं ।

जहां के जाली पीरों से हमारा वास्ता कैसा,
के हम तो नामे अख्तर का वजीफा ले के बैठे हैं ।

ये पैगाम-ए-मसौली है पकड़ लो दामन-ए-असजद,
तो समझो हम भी कोहेनूर हीरा ले के बैठे हैं ।

जो हैं हकदार मनसब के उन्हे मनसब दिया जाये,
मगर हम लोग तो भाई – भतीजा लेके बैठे हैं ।

ज़माना छोड़ देंगे आला हज़रत को ना छोड़ेंगे,
अकीदी आज ये दिल मे इरादा ले के बैठे हैं ।

जो जाली पीर कहता है मेरे अख्तर को ऐ लोगो,
हम उसके वास्ते पैरों में जूता ले के बैठे हैं ।

फलक के चाँद और तारे सभी जन्नत के नज्जारे,
नबी के जिस्म-ए-अत-हर का गुसाला ले के बैठे हैं।

वो अपने बाप दादा को कहो क्या मुँह दिखाएंगे,
जो मरकज़ को बदलने का इरादा ले के बैठे हैं ।

उन्हें कीड़े पड़ेंगे क़ब्र में और हश्र में कोड़े,
रज़ा से बुग्ज का दिल में जो कीड़ा ले के बैठे हैं।

रज़ा वालों से मत उलझो नहीं है तुमको अंदाज़ा
रज़ा वाले धमाके पर धमाका ले के बैठे हैं।

ये जलसे इसलिए हैं कौम कि इसलाह मकसद है,
मगर वाइज़ खिताबत मे लतीफा ले के बैठे हैं ।

हमारा दौर जब आएगा हम तामीर कर लेंगे,
के हम तो बाबरी मस्ज़िद का ऩक्शा लेके बैठे हैं ।

हुसैन ए पाक की कुर्बानीयों से उनको क्या मतलब,
मोहर्रम वाले दिन जो ढोल-ताशा लेके बैठे हैं

बहुत सारे हैं लहजे पढ़ने के खातिर ज़माने में,
मगर हासिद असद इक़बाल लहजा ले के बैठे हैं ।

नबी की नात पढ़िए दुश्मनाने दीं का रद्द कीजिए,
असद क्यों आप दुनिया का झमेला ले के बैठे हैं ।

           

I am the Founder of This Blog, Belongs from Bareilly Uttar Pradesh, Content Writer, Blogger, Youtuber, Also Running Csc Center (Cyber Cafe).

         

Leave a Comment