Shaoib Raza Barelvi
Pyar Dil Me Rehta Hai Itna Aala Hazrat Ka,
Ban Gya Hai Dil Mera Rauza Aala Hazrat Ka,
Baat Itni Hai Najdi Tu Nabi Ka Dushman Hai,
Warna Aur Kya Tujhse Jhagda Aala Hazrat Ka,
Jiske Naam Se Kaanpe Sulhekulliyat Saari,
Haan Usi Ko Kehte Hain Pota Aala Hazrat Ka,
Tu Raza Ke Parcham Ko Kya Ukhaad Payega,
Tujhse Hil Nahi Sakta Joota Aala Hazrat Ka,
Jo Bika Bareilly Me Usko Kya Khareedoge,
Doller’on Pe Bhaari Hai Sikka Aala Hazrat Ka,
Aouj Par Muqaddar Hai Peer Mera Akhtar Hai,
Wo Shaoib Aankho Ka Taara Aala Hazrat Ka.
Shoaib Raza Barelvi