Fatima Ka Laadla Jo Ali Ke Ghar Palaa, Tahir Rampuri Naat, Lyrics

Tahir Raza Rampuri
Tahir Raza Rampuri

 

Fatima Ka Laadla Jo Ali Ke Ghar Palaa Wo Husain Ibne Ali,
Paikare Sabr O Raza Baadshahe Karbala Wo Husain Ibne Ali.
Kaun Hai Sardar Jannat Kiske Nana Hai Nabi,
Kiski Maa Hai Fatima Bhai Hasan Baba Ali,
Laaye The Kiske Liye
Jibreel Kapde Jannati,
Wo Husain Ibne Ali.
Sajde Ko Lambaa Karen Sarkar Jinke Waaste,
Jinko Kaandho Par Bitha Kar Taye Karayen Raaste,
Choomte Rehte Ho Har Ghadi Pyare Nabi,
Wo Husain Ibne Ali.
Apne Nana Ka Madina Maa Ki Turbat Chhod Di,
Ek Waade Ke Liye Jeene Ki Chahat Chhod Di,
Aaj Tak Unki Tarah Aaya Na Aayega Koi,

Wo Husain Ibne Ali.

Hans Ke Akbar Ki Jawaani Ko Luta Kar Deen Par,
Karke Kurbaan God Me 6 Maah Ka Nanha Jigar,
Deene Paake Mustafa Ko De Rahe Hain Zindagi.
Wo Husain Ibne Ali.
Hain Mere Aankhon Ki Thandak Hain Mere Is Dil Ka Chain,
Main Husain Ibne Ali Se Hun To Mujhse Hain Husain,
Zaalimo’n Kya Bhul Baithe Ye Hadeese Paak Bhi,
Wo Husain Ibne Ali.
Jinke Baazu’on Ki Taaqat Ho Ali Shere Khuda,
Kar Gayi Ho Parwarish Jinki Janaabe Fatima,
Kaun Unse Chheen Paaye Zulfiqaare Haidari,
Wo Husain Ibne Ali.
Bazu-E-Abbas Wo Parcham Wo Manzar Khoon Ka,
Teer Bhi Hai Khoon Ka Har Ek Khanzar Khoon Ka,
Tahir Unke Hausle Par Hai Fida Khud Maut Bhi,
Wo Husain Ibne Ali.
Fatima Ka Laadla Jo Ali Ke Ghar Palaa Wo Husain Ibne Ali,
Paikare Sabr O Raza Baadshahe Karbala Wo Husain Ibne Ali.

Tahir Rampuri

           

I am the Founder of This Blog, Belongs from Bareilly Uttar Pradesh, Content Writer, Blogger, Youtuber, Also Running Csc Center (Cyber Cafe).

         

6 thoughts on “Fatima Ka Laadla Jo Ali Ke Ghar Palaa, Tahir Rampuri Naat, Lyrics”

Leave a Comment