Wah Kya Martaba Aye Gaus Hai Baala Tera, Aala Hazrat Naat Lyrics

Wah Kya Martaba
Aay Ghaus Hay Baala Tera
Oonche Oonchon Key
Saron Sey Qadam Aa’laa Tera
Sar Bhalaa Kya Koi
Jaane Key Hay Kaisa Tera
Auliya Malte Hain
Aankhein Woh Hay Talwaa Tera
Kya Dabe Jis Pey
Himaayat Ka Ho Panjah Tera
Sher Ko Khatre Me
Laata Nahin Kuttaa Tera
Tu Husaini Hasani Kyun
Nah Muhiyuddin Ho
Aay Khizar Majma’
E Bahrain Hay Chashma Tera
Qasmein Dey Dey
Key Khilaata Hay Pilaata Hay Tujhe
Pyaara Allah Tera
Chaahne Waala Tera
Mustafa Key Tane
Bey Saaye Ka Saaya Dekha
Jis Ney Dekha Meri
Jaan Jalwaa E Zaybaa Tera
Ibn E Zahraa Ko
Mubaarak Ho ‘Aroos E Qudrat
Qaadiri Paayein
Tasadduq Mere Dulhaa Tera
Kyun Nah Qaasim Ho
Key Tu Ibn E Abil Qaasim Hay
Kyun Nah Qaadir Ho
Key Mukhtaar Hay Baaba Tera
Nabavi Meenh
‘Alawi Fasl Batooli Gulshan
Hasani Phool Husaini
Hay Meheknaa Tera
Nabavi Zil Alawi
Burj Batooli Manzil
Hasani Chaand Husaini
Hay Ujaalaa Tera
Nabavi Khur ‘Alawi
Kooh Batooli Ma’din
Hasani La’l Husaini
Hay Tajallaa Tera
Behr O Bar Sheher
O Quraa Sehel O Hazan Dasht O Chaman
Kaun Sey Chak Pe
Pohonchtaa Nahin Da’waa Tera
Husn E Niyyat Ho
Khataa Phir Kabhi Karta Hi Nahin
Aazmaayaa Hay
Yagaana Hay Dogaana Tera
‘Arz E Ahwaal Ki
Pyaason Me Kahaan Taab Magar
Aankhein Aay Abr E
Karam Takti Hain Rastaa Tera
Maut Nazdeek
Gunaahon Ki Tahein Mail Key Khowl
Aa Baras Jaa Key
Nahaa Dho Le Ye Pyaasa Tera
Aab Aamad Woh Kahe
Aur Mein Tayammum Bar Khaast
Musht Khaak Apni
Ho Aur Noor Ka Ahlaa Tera
Jaan To Jaate Hi
Jaayegi Qayaamat Ye Hay
Ke Yahaan Marne Pe
Thehra Hay Nazaarah Tera
Tujh Sey Dar Dar
Sey Sag Aur Sag Sey Hay Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Me Bhi
Hay Door Ka Doraa Tera
Is Nishaani Key Jo
Sag Hain Nahi Maare Jaate
Hashr Tak Mere
Gale Mein Rahe Patta Tera
Meri Qismat Ki
Qasam Khaayein Sagaan E Baghdad
Hind Me Bhi Hoon
To Deta Rahoon Pehra Tera
Teri Izzat Key
Nisaar Aay Mere Ghairat Waale
Aah Sad Aah Key
Yoon Khwaar Ho Barda Tera
Bad Sahi Chor Sahi
Mujrim O Naakaarah Sahi
Aay Woh Kaisa Hi Sahi
Hay To Kareema Tera
Mujh Ko Ruswaa Bhi
Agar Koi Kahegaa To Yoon Hi
Ke Wohi Naa Wo Raza
Banda E Ruswa Tera
Aay Raza Yoon Na
Bilak Tu Nahin Jayyid To Na Ho
Sayyad E Jayyid E
Har Dehr Hay Mawla Tera
Fakhr E Aaqa Mein Raza
Aur Bhi Ik Nazm E Rafee’
Chal Likha Laayein
Thanaa Khwaanon Mein Chehraa Tera

           

I am the Founder of This Blog, Belongs from Bareilly Uttar Pradesh, Content Writer, Blogger, Youtuber, Also Running Csc Center (Cyber Cafe).

         

Leave a Comment